tu kisi phul ko na Khaar ko dekh
tū kisī phuul ko na ḳhaar ko dekh
aks-e-ā.īna-e-bahār ko dekh
sīna-e-sang meñ jo raah kare
ḳhāk-ālūd is sharār ko dekh
khol kar bādbān-e-kashtī-e-shauq
satvat-e-bahr-e-be-kanār ko dekh
dostoñ meñ talāsh kar ḳhud ko
aur phir apne e.atibār ko dekh
jis meñ tū kho gayā hai dīvāne
ilm-o-hikmat ke us dayār ko dekh
vādī-e-gul se be-niyāz guzar
dasht-o-sahrā ke intizār ko dekh
tu kisi phul ko na KHar ko dekh
aks-e-aina-e-bahaar ko dekh
sina-e-sang mein jo rah kare
KHak-alud is sharar ko dekh
khol kar baadban-e-kashti-e-shauq
satwat-e-bahr-e-be-kanar ko dekh
doston mein talash kar KHud ko
aur phir apne eatibar ko dekh
jis mein tu kho gaya hai diwane
ilm-o-hikmat ke us dayar ko dekh
wadi-e-gul se be-niyaz guzar
dasht-o-sahra ke intizar ko dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.