tu kisi raste ka musafir rahe teri ek ek Thokar uTha laungi
tu kisi raste ka musafir rahe teri ek ek Thokar uTha laungi
Shabeena Adeeb
MORE BYShabeena Adeeb
tū kisī rāste kā musāfir rahe terī ek ek Thokar uThā lā.ūñgī
apnī bechain palkoñ se chun chun ke maiñ tere raste ke patthar uThā lā.ūñgī
maiñ varaq pyaar kā moḌ saktī nahīñ zindagī maiñ tujhe chhoḌ saktī nahīñ
tū agar mere ghar tak nahīñ aa.egā maiñ tire paas hī ghar uThā lā.ūñgī
āñsuoñ kā ye mausam chalā jā.egā mere lab par tabassum bhī aa jā.egā
mujh ko dil kī zamīñ se tum āvāz do āsmāñ apne sar pe uThā lā.ūñgī
mere har ḳhvāb kī tū hī ta.abīr hai tū hī mere ḳhayāloñ kī tasvīr hai
terī āñkhoñ se dekhūñgī maiñ zindagī terī palkoñ se manzar uThā lā.ūñgī
ye zamāna hai sahrā-sifat ham-nashīñ chand qatre bhī is se na mil pā.eñge
dekh tū mujh se kah kar kisī roz to terī ḳhātir samundar uThā lā.ūñgī
tere māthe kī ik ik shikan kī qasam maiñ ayādat ko rasman nahīñ aa.ī huuñ
mere bīmār terī davā ke liye apnā ik ek zevar uThā lā.ūñgī
tu kisi raste ka musafir rahe teri ek ek Thokar uTha laungi
apni bechain palkon se chun chun ke main tere raste ke patthar uTha laungi
main waraq pyar ka moD sakti nahin zindagi main tujhe chhoD sakti nahin
tu agar mere ghar tak nahin aaega main tere pas hi ghar uTha laungi
aansuon ka ye mausam chala jaega mere lab par tabassum bhi aa jaega
mujh ko dil ki zamin se tum aawaz do aasman apne sar pe uTha laungi
mere har KHwab ki tu hi tabir hai tu hi mere KHayalon ki taswir hai
teri aankhon se dekhungi main zindagi teri palkon se manzar uTha laungi
ye zamana hai sahra-sifat ham-nashin chand qatre bhi is se na mil paenge
dekh tu mujh se kah kar kisi roz to teri KHatir samundar uTha laungi
tere mathe ki ek ek shikan ki qasam main ayaadat ko rasman nahin aai hun
mere bimar teri dawa ke liye apna ek ek zewar uTha laungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.