tu kya jaane ruh bhi zaKHmi hoti hai
tū kyā jaane ruuh bhī zaḳhmī hotī hai
jab lafzoñ se dahshat-gardī hotī hai
aa jaatā hai bin dastak ke vo dil meñ
phir kab jaa.e us kī marzī hotī hai
maiñ to dekhtā rahtā huuñ bas us kā khel
rūh-o-dil meñ guttham-gutthī hotī hai
us ne nafrat ghol dī dil ke dariyā meñ
har manzar meñ ḳhuun kī surḳhī hotī hai
mujh ko maar ke zinda rahnā hai us ko
us ko kab mujh se hamdardī hotī hai
aur to ham se kyā hotā hai bas itnā
dard meñ Dūboñ kī ġham-ḳhvārī hotī hai
is chhoTe se dil meñ duniyā bas jaa.e
vo duniyā jo ġham kī maarī hotī hai
us se milūñ to ek qayāmat barpā ho
ḳhud kī ḳhud se parda-dārī hotī hai
ġham hī rahtā hai ham jaisoñ ke dil meñ
dil-bastī ḳhushiyoñ se ḳhālī hotī hai
jin logoñ ko mere ġham mil jaate haiñ
un kī adā jiine kī nirālī hotī hai
tu kya jaane ruh bhi zaKHmi hoti hai
jab lafzon se dahshat-gardi hoti hai
aa jata hai bin dastak ke wo dil mein
phir kab jae us ki marzi hoti hai
main to dekhta rahta hun bas us ka khel
ruh-o-dil mein guttham-gutthi hoti hai
us ne nafrat ghol di dil ke dariya mein
har manzar mein KHun ki surKHi hoti hai
mujh ko mar ke zinda rahna hai us ko
us ko kab mujh se hamdardi hoti hai
aur to hum se kya hota hai bas itna
dard mein Dubon ki gham-KHwari hoti hai
is chhoTe se dil mein duniya bas jae
wo duniya jo gham ki mari hoti hai
us se milun to ek qayamat barpa ho
KHud ki KHud se parda-dari hoti hai
gham hi rahta hai hum jaison ke dil mein
dil-basti KHushiyon se KHali hoti hai
jin logon ko mere gham mil jate hain
un ki ada jine ki nirali hoti hai
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 266)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.