tu lahu mein rawan nahin hota
tū lahū meñ ravāñ nahīñ hotā
jaane kyā kyā gumāñ nahīñ hotā
saare ḳhat ham jalā ke aa.e haiñ
yādoñ kā ab dhuāñ nahīñ hotā
un kī bebākiyāñ sahī dil ne
varna dil be-zabāñ nahīñ hotā
dekho alfāz kī bhī betābī
ishq aise ayaañ nahīñ hotā
rah-e-tīra meñ garche jugnū hai
tanhā sach kārvāñ nahīñ hotā
tu lahu mein rawan nahin hota
jaane kya kya guman nahin hota
sare KHat hum jala ke aae hain
yaadon ka ab dhuan nahin hota
un ki bebakiyan sahi dil ne
warna dil be-zaban nahin hota
dekho alfaz ki bhi betabi
ishq aise ayan nahin hota
rah-e-tira mein garche jugnu hai
tanha sach karwan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.