tu mai-kada mein ek aisa nizam paida kar
tū mai-kada meñ ik aisā nizām paidā kar
ki sab ke lab ko jo pahuñche vo jaam paidā kar
ridā-e-hijr meñ lipTī rahe tabī.at-e-shauq
sahar kī yaad bhulā de vo shaam paidā kar
laboñ pe naam agar aa gayā to faḳhr nahīñ
jo ho sake to diloñ meñ maqām paidā kar
suḳhan muhāl nahīñ un kī anjuman meñ magar
bas itnī shart hai ik ḳhush-kalām paidā kar
tu mai-kada mein ek aisa nizam paida kar
ki sab ke lab ko jo pahunche wo jam paida kar
rida-e-hijr mein lipTi rahe tabiat-e-shauq
sahar ki yaad bhula de wo sham paida kar
labon pe nam agar aa gaya to faKHr nahin
jo ho sake to dilon mein maqam paida kar
suKHan muhaal nahin un ki anjuman mein magar
bas itni shart hai ek KHush-kalam paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.