tu maiKHane mein koi hairat dikha
tū maiḳhāne meñ koī hairat dikhā
mujhe sāqiyā ab na jannat dikhā
maiñ tarsā huuñ jis ke liye umr bhar
ajal ko bhī ab to ye naubat dikhā
mujhe be-ḳhudī kī nahīñ aarzū
kisī jaam meñ koī rāhat dikhā
yahāñ ke nazāroñ se jī bhar gayā
na.e jalvoñ kī koī sūrat dikhā
koī us se kah de ye 'sāhil' kī baat
duā meñ zarā to karāmat dikhā
tu maiKHane mein koi hairat dikha
mujhe saqiya ab na jannat dikha
main tarsa hun jis ke liye umr bhar
ajal ko bhi ab to ye naubat dikha
mujhe be-KHudi ki nahin aarzu
kisi jam mein koi rahat dikha
yahan ke nazaron se ji bhar gaya
nae jalwon ki koi surat dikha
koi us se kah de ye 'sahil' ki baat
dua mein zara to karamat dikha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.