tu mere dil mein utar aa kabhi qayam to kar
tū mere dil meñ utar aa kabhī qayām to kar
milan se apne koī phir hasīn shaam to kar
ḳhamosh kyuuñ hai tū ab ye ḳhamoshī toḌ bhī de
bahut udaas huuñ maiñ aa koī kalām to kar
mujhe pata hai guzarte ho roz is galī se
kabhī guzarte hue hī Thahar salām to kar
ye nafrateñ miTā taskīn dekh pyaar kī phir
mohabbatoñ meñ sukūñ kitnā hai ye aam to kar
sameT lā to bahāreñ mire liye bhī mahak
ye phuul ḳhushbū kabhī sab mire bhī naam to kar
tu mere dil mein utar aa kabhi qayam to kar
milan se apne koi phir hasin sham to kar
KHamosh kyun hai tu ab ye KHamoshi toD bhi de
bahut udas hun main aa koi kalam to kar
mujhe pata hai guzarte ho roz is gali se
kabhi guzarte hue hi Thahar salam to kar
ye nafraten miTa taskin dekh pyar ki phir
mohabbaton mein sukun kitna hai ye aam to kar
sameT la to bahaaren mere liye bhi mahak
ye phul KHushbu kabhi sab mere bhi nam to kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.