tu meri manzil hai tera rasta main
tū merī manzil hai terā rasta maiñ
nāzāñ huuñ ho kar tujh se vābasta maiñ
jaan ke bhī anjān banī rahtī hai tū
paas kabhī aa jā.ūñ jo āhista maiñ
pyaar kī ḳhushbū se mahkātā huuñ mahfil
apne aap meñ phūloñ kā guldasta maiñ
varna kaun sune kam-zarfoñ ke ta.ane
majbūrī ke baa.is huuñ lab-basta maiñ
vo jo ayaañ ho kar bhī nihāñ hai aaj talak
apnī zaat meñ vo rāz-e-sar-basta maiñ
narmī se pesh aatā huuñ har ek se 'shād'
ya.anī apne aap meñ huuñ shā.ista maiñ
tu meri manzil hai tera rasta main
nazan hun ho kar tujh se wabasta main
jaan ke bhi anjaan bani rahti hai tu
pas kabhi aa jaun jo aahista main
pyar ki KHushbu se mahkata hun mahfil
apne aap mein phulon ka guldasta main
warna kaun sune kam-zarfon ke tane
majburi ke bais hun lab-basta main
wo jo ayan ho kar bhi nihan hai aaj talak
apni zat mein wo raaz-e-sar-basta main
narmi se pesh aata hun har ek se 'shad'
yani apne aap mein hun shaista main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.