tu mila to mujhe yaqin aaya
tū milā to mujhe yaqīñ aayā
maiñ yahāñ be-sabab nahīñ aayā
mujh se tujh meñ kashish ziyāda thī
is liye maiñ tire qarīñ aayā
jaane dariyā ke paar kyā hai ki jo
muskurātā gayā hazīñ aayā
jahāñ aanā na chāhiye thā kabhī
dil siyah-baḳht thā vahīñ aayā
qabr hai yā black-hole koī
jo gayā lauT kar nahīñ aayā
jhuum uThe haiñ sabhī sitāre 'zakī'
kahkashāñ meñ koī makīñ aayā
tu mila to mujhe yaqin aaya
main yahan be-sabab nahin aaya
mujh se tujh mein kashish ziyaada thi
is liye main tere qarin aaya
jaane dariya ke par kya hai ki jo
muskuraata gaya hazin aaya
jahan aana na chahiye tha kabhi
dil siyah-baKHt tha wahin aaya
qabr hai ya black-hole koi
jo gaya lauT kar nahin aaya
jhum uThe hain sabhi sitare 'zaki'
kahkashan mein koi makin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.