tu mera koi nahin hai to phir aisa kyon hai
tū mirā koī nahīñ hai to phir aisā kyoñ hai
dil tire naam ko sunte hī dhaḌaktā kyoñ hai
rāste aur bhī manzil kī taraf jaate haiñ
mere qadmoñ ke liye ek hī rasta kyoñ hai
kyā maiñ apne ye ḳhad-o-ḳhāl bhulā baiThī huuñ
aa.ina us ne mire sāmne rakkhā kyoñ hai
zehn meñ us ke yaqīnan maiñ kahīñ huuñ maujūd
ġhair ke ḳhat meñ mirī samt ishāra kyoñ hai
biite mausam kī tarah tū bhī bhulā de ai 'nasīm'
jo tujhe bhuul gayā us kī tamanna kyoñ hai
tu mera koi nahin hai to phir aisa kyon hai
dil tere nam ko sunte hi dhaDakta kyon hai
raste aur bhi manzil ki taraf jate hain
mere qadmon ke liye ek hi rasta kyon hai
kya main apne ye KHad-o-KHal bhula baiThi hun
aaina us ne mere samne rakkha kyon hai
zehn mein us ke yaqinan main kahin hun maujud
ghair ke KHat mein meri samt ishaara kyon hai
bite mausam ki tarah tu bhi bhula de ai 'nasim'
jo tujhe bhul gaya us ki tamanna kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.