tu mere aks-e-tasawwur se juda lagta nahin
tū mire aks-e-tasavvur se judā lagtā nahīñ
fāsle jo darmiyāñ hai fāsla lagtā nahīñ
kaalī rāteñ dekh luuñ to ḳhauf aatā hai mujhe
ḳhvāb kyā phir niiñd se bhī rābta lagtā nahīñ
aa.ine ne mujh se pūchhā tū batā ye kaun hai
maiñ ne dekhā aur kahā kuchh bhī pata lagtā nahīñ
kyā mohabbat kyā hai nafrat do alag haiñ silsile
jaise sach kā jhuuT se bhī vāsta lagtā nahīñ
harf saare bol uTTheñ jab bhī maiñ likhne lagūñ
ab koī jazba mirā mahv-e-duā lagtā nahīñ
talḳhiyoñ ke zahr ko tohfa samajh lenā 'bahār'
Dar to hai bas karb kā is ke sivā lagtā nahīñ
tu mere aks-e-tasawwur se juda lagta nahin
fasle jo darmiyan hai fasla lagta nahin
kali raaten dekh lun to KHauf aata hai mujhe
KHwab kya phir nind se bhi rabta lagta nahin
aaine ne mujh se puchha tu bata ye kaun hai
main ne dekha aur kaha kuchh bhi pata lagta nahin
kya mohabbat kya hai nafrat do alag hain silsile
jaise sach ka jhuT se bhi wasta lagta nahin
harf sare bol uTThen jab bhi main likhne lagun
ab koi jazba mera mahw-e-dua lagta nahin
talKHiyon ke zahr ko tohfa samajh lena 'bahaar'
Dar to hai bas karb ka is ke siwa lagta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.