tu mere dard ko duniya nai nai dena
tū mere dard ko duniyā na.ī na.ī denā
mire ḳhudā mujhe kuchh aur āgahī denā
jo hasrateñ hī mirī zindagī kā hāsil haiñ
tū hasratoñ ke añdheroñ ko zindagī denā
jo tū ne apne karam se diyā hai apnoñ ko
mirī mizha ko un ashkoñ kī bhī namī denā
ye ġham-kada to sañvartā rahā hai barsoñ se
use jo raas na aa.e vahī ḳhushī denā
maiñ tujh se kuchh bhī nahīñ māñgtā mire mālik
mire qalam ko mire ḳhuuñ kī chāshnī denā
jahāñ se dil ko bachā kar maiñ tujh talak lā.ūñ
vahīñ pe siine meñ neze kī ik anī denā
'matīn' terā nahīñ hai to aur kis kā hai
bahisht denā to dozaḳh kī aag bhī denā
tu mere dard ko duniya nai nai dena
mere KHuda mujhe kuchh aur aagahi dena
jo hasraten hi meri zindagi ka hasil hain
tu hasraton ke andheron ko zindagi dena
jo tu ne apne karam se diya hai apnon ko
meri mizha ko un ashkon ki bhi nami dena
ye gham-kada to sanwarta raha hai barson se
use jo ras na aae wahi KHushi dena
main tujh se kuchh bhi nahin mangta mere malik
mere qalam ko mere KHun ki chashni dena
jahan se dil ko bacha kar main tujh talak laun
wahin pe sine mein neze ki ek ani dena
'matin' tera nahin hai to aur kis ka hai
bahisht dena to dozaKH ki aag bhi dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.