tu mere dil ki aarzu ho ja
tū mire dil kī aarzū ho jā
aa.ina ban ke rū-barū ho jā
phir se gulshan meñ shādmānī ho
surḳh phūloñ kī guftugū ho jā
mai-kashī mai-kade pe chhāne tak
jaam ho jā yā phir subū ho jā
ahl-e-gulshan pe ye 'ināyat kar
bū-e-gul ban ke kū-ba-kū ho jā
sun ye ehsān mujh pe itnā kar
merī ġhazloñ kī aabrū ho jā
ham faqīroñ kī 'iid ho jaa.e
be-hijābāna māh-rū ho jā
aarzū itnī hai ‘mu'īn-‘alvī'
jis taraf dekheñ tū hī tū ho jā
tu mere dil ki aarzu ho ja
aaina ban ke ru-baru ho ja
phir se gulshan mein shadmani ho
surKH phulon ki guftugu ho ja
mai-kashi mai-kade pe chhane tak
jam ho ja ya phir subu ho ja
ahl-e-gulshan pe ye 'inayat kar
bu-e-gul ban ke ku-ba-ku ho ja
sun ye ehsan mujh pe itna kar
meri ghazlon ki aabru ho ja
hum faqiron ki 'id ho jae
be-hijabana mah-ru ho ja
aarzu itni hai ‘mu'in-‘alwi'
jis taraf dekhen tu hi tu ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.