tu meri justuju musalsal hai
tū mirī justujū musalsal hai
shāmil-e-guftugū musalsal hai
mujh pe taarī ḳhumār kī ghaḌiyāñ
tū mire rū-ba-rū musalsal hai
zarra zarra gavāhī detā hai
jā-ba-jā tū hī tū musalsal hai
ishq mujh ko uḌaa.e phirtā hai
chākrī kū-ba-kū musalsal hai
ik mo.attar fazā rachī mujh meñ
bas gayā mujh meñ tū musalsal hai
vajd taarī 'urūsa' sāñsoñ par
shash-jihat hū hī hū musalsal hai
tu meri justuju musalsal hai
shamil-e-guftugu musalsal hai
mujh pe tari KHumar ki ghaDiyan
tu mere ru-ba-ru musalsal hai
zarra zarra gawahi deta hai
ja-ba-ja tu hi tu musalsal hai
ishq mujh ko uDae phirta hai
chaakri ku-ba-ku musalsal hai
ek moattar faza rachi mujh mein
bas gaya mujh mein tu musalsal hai
wajd tari 'urusa' sanson par
shash-jihat hu hi hu musalsal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.