tu misl-e-hur rashk-e-surayya tera badan
tū misl-e-hūr rashk-e-surayyā tirā badan
lagtā hai jaise chāñd kā haala tirā badan
kyā gul khilā.e jān-e-tamannā tirā badan
qudrat ne kitnā shoḳh banāyā tirā badan
kākul ghaTāoñ jaise haiñ lab gul ke misl haiñ
shabnam kabhī havā kabhī sho'la tirā badan
āñkheñ haiñ terī jaise chhupāyā ho mai-kada
sāġhar subū surāhī yā miinā tirā badan
hotā na zindagī meñ fidā phir vo hiir par
ik baar dekh letā jo rāñjhā tirā badan
pahlū hameñ ġhazal ke liye baḳhsh hī gayā
jab bhī tasavvurāt meñ aayā tirā badan
'faisal' tirī adāoñ pe qurbān ho gayā
chandan sā jab ki sāmne dekhā tirā badan
tu misl-e-hur rashk-e-surayya tera badan
lagta hai jaise chand ka haala tera badan
kya gul khilae jaan-e-tamanna tera badan
qudrat ne kitna shoKH banaya tera badan
kakul ghaTaon jaise hain lab gul ke misl hain
shabnam kabhi hawa kabhi sho'la tera badan
aankhen hain teri jaise chhupaya ho mai-kada
saghar subu surahi ya mina tera badan
hota na zindagi mein fida phir wo hir par
ek bar dekh leta jo ranjha tera badan
pahlu hamein ghazal ke liye baKHsh hi gaya
jab bhi tasawwuraat mein aaya tera badan
'faisal' teri adaon pe qurban ho gaya
chandan sa jab ki samne dekha tera badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.