tu mubtala-e-ishq hai gham ka nisab DhunD
tū mubtalā-e-ishq hai ġham kā nisāb DhūñD
unvān jis kā hijr ho aisī kitāb DhūñD
auroñ kī raushnī pe na rakh tū burī nazar
apnī hī chhat ke nīche koī āftāb DhūñD
koshish ko apnī ek nayā rañg-rūp de
dil ke ujaaḌ baaġh meñ taaza gulāb DhūñD
ye nek hastiyāñ haiñ yahāñ merā kaam kyā
tū mere vāste koī jā-e-ḳharāb DhūñD
yā mujh ko dast-e-yār se paanī kā ghūñT de
yā jo ragoñ ko tar kare aisī sharāb DhūñD
vo jis pe chand roz takabbur rahā tujhe
'āriz' kahāñ gayā tirā zor-e-shabāb DhūñD
tu mubtala-e-ishq hai gham ka nisab DhunD
unwan jis ka hijr ho aisi kitab DhunD
auron ki raushni pe na rakh tu buri nazar
apni hi chhat ke niche koi aaftab DhunD
koshish ko apni ek naya rang-rup de
dil ke ujaD bagh mein taza gulab DhunD
ye nek hastiyan hain yahan mera kaam kya
tu mere waste koi ja-e-KHarab DhunD
ya mujh ko dast-e-yar se pani ka ghunT de
ya jo ragon ko tar kare aisi sharab DhunD
wo jis pe chand roz takabbur raha tujhe
'ariz' kahan gaya tera zor-e-shabab DhunD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.