tu mujhko mere nam se pahchan ki main hun
tū mujh ko mire naam se pahchān ki maiñ huuñ
chhoTā hī sahī mujh ko magar maan ki maiñ huuñ
ik umr isī shahr meñ guzrī hai tire saath
ab kis liye bantā hai tū anjān ki maiñ huuñ
ye jeb bhī merī hai ye bāzār bhī merā
kar detā huuñ maiñ apnā hī nuqsān ki maiñ huuñ
ho jā.egā ik roz ye elaan ki maiñ thā
ab kartā huuñ ḳhud apnā hī elaan ki maiñ huuñ
ik sabza-e-naurasta huuñ bargad to nahīñ maiñ
tū kis liye hai itnā pareshān ki maiñ huuñ
is hijr sarā.e meñ huuñ do chaar hī din ab
thoḌā sā hī lā de mujhe sāmān ki maiñ huuñ
tu mujh ko mere nam se pahchan ki main hun
chhoTa hi sahi mujh ko magar man ki main hun
ek umr isi shahr mein guzri hai tere sath
ab kis liye banta hai tu anjaan ki main hun
ye jeb bhi meri hai ye bazar bhi mera
kar deta hun main apna hi nuqsan ki main hun
ho jaega ek roz ye elan ki main tha
ab karta hun KHud apna hi elan ki main hun
ek sabza-e-naurasta hun bargad to nahin main
tu kis liye hai itna pareshan ki main hun
is hijr sarae mein hun do chaar hi din ab
thoDa sa hi la de mujhe saman ki main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.