tu mujhko sun raha hai to sunai kyun nahin deta
tū mujh ko sun rahā hai to sunā.ī kyuuñ nahīñ detā
ye kuchh ilzām haiñ mere safā.ī kyuuñ nahīñ detā
mire hañste hue lahje se dhokā khā rahe ho tum
mirā utrā huā chehra dikhā.ī kyuuñ nahīñ detā
nazar-andāz kar rakkhā hai duniyā ne tujhe kab se
kisī din apne hone kī duhā.ī kyuuñ nahīñ detā
maiñ tujh ko dekhne se kis liye mahrūm rahtā huuñ
atā kartā hai jab nazreñ rasā.ī kyuuñ nahīñ detā
ka.ī lamhe churā kar rakh liye tū ne alag mujh se
tū mujh ko zindagī-bhar kī kamā.ī kyuuñ nahīñ detā
ḳhud apne-āp ko hī gher kar baiThā hai tū kab se
ab apne-āp se ḳhud ko rihā.ī kyuuñ nahīñ detā
maiñ tujh ko jiit jaane kī mubārakbād detā huuñ
tū mujh ko haar jaane kī badhā.ī kyuuñ nahīñ detā
tu mujh ko sun raha hai to sunai kyun nahin deta
ye kuchh ilzam hain mere safai kyun nahin deta
mere hanste hue lahje se dhoka kha rahe ho tum
mera utra hua chehra dikhai kyun nahin deta
nazar-andaz kar rakkha hai duniya ne tujhe kab se
kisi din apne hone ki duhai kyun nahin deta
main tujh ko dekhne se kis liye mahrum rahta hun
ata karta hai jab nazren rasai kyun nahin deta
kai lamhe chura kar rakh liye tu ne alag mujh se
tu mujh ko zindagi-bhar ki kamai kyun nahin deta
KHud apne-ap ko hi gher kar baiTha hai tu kab se
ab apne-ap se KHud ko rihai kyun nahin deta
main tujh ko jit jaane ki mubarakbaad deta hun
tu mujh ko haar jaane ki badhai kyun nahin deta
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 41)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.