tu mujhe kis ke banane ko miTa baiTha hai
tū mujhe kis ke banāne ko miTā baiThā hai
maiñ koī ġham to nahīñ thā jise khā baiThā hai
baat kuchh ḳhaak nahīñ thī jo uḌaa.ī tū ne
tiir kuchh aib nahīñ thā jo lagā baiThā hai
mel kuchh khel nahīñ thā jo bigāḌā tū ne
rabt kuchh rasm nahīñ thā jo ghaTā baiThā hai
aañkh kuchh baat nahīñ thī jo jhukā.ī tū ne
ruḳh koī raaz nahīñ thā jo chhupā baiThā hai
naam armān nahīñ thā jo nikālā tū ne
ishq afvāh nahīñ thā jo uḌā baiThā hai
laag kuchh aag nahīñ thī jo lagā dī tū ne
dil koī ghar to nahīñ thā jo jalā baiThā hai
rasm kāvish to nahīñ thī jo miTā dī tū ne
haath parda to nahīñ thā jo uThā baiThā hai
tu mujhe kis ke banane ko miTa baiTha hai
main koi gham to nahin tha jise kha baiTha hai
baat kuchh KHak nahin thi jo uDai tu ne
tir kuchh aib nahin tha jo laga baiTha hai
mel kuchh khel nahin tha jo bigaDa tu ne
rabt kuchh rasm nahin tha jo ghaTa baiTha hai
aankh kuchh baat nahin thi jo jhukai tu ne
ruKH koi raaz nahin tha jo chhupa baiTha hai
nam arman nahin tha jo nikala tu ne
ishq afwah nahin tha jo uDa baiTha hai
lag kuchh aag nahin thi jo laga di tu ne
dil koi ghar to nahin tha jo jala baiTha hai
rasm kawish to nahin thi jo miTa di tu ne
hath parda to nahin tha jo uTha baiTha hai
- Book : Khirman (Part-11) (Pg. 42)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.