tu mujhe sunti rahi aur main tujhe paDhta raha
tū mujhe suntī rahī aur maiñ tujhe paḌhtā rahā
shahr meñ apnī mohabbat kā bahut charchā rahā
vaise kitnī laḌkiyoñ ne āzmā.ī qismateñ
aur merī shā.erī meñ ek hī chehra rahā
tiir nazroñ se chalā maidān-e-dil ghāyal huā
ik akelā shaḳhs saare dard ko sahtā rahā
tez jhoñkoñ ne havā ke gul kiye kitne charāġh
phir bhī andhere meñ dil ban ke diyā jaltā rahā
sardiyāñ aa ke ga.iiñ vo sweater buntī rahī
maiñ december january meñ ThanD se laḌtā rahā
tu mujhe sunti rahi aur main tujhe paDhta raha
shahr mein apni mohabbat ka bahut charcha raha
waise kitni laDkiyon ne aazmai qismaten
aur meri shaeri mein ek hi chehra raha
tir nazron se chala maidan-e-dil ghayal hua
ek akela shaKHs sare dard ko sahta raha
tez jhonkon ne hawa ke gul kiye kitne charagh
phir bhi andhere mein dil ban ke diya jalta raha
sardiyan aa ke gain wo sweater bunti rahi
main december january mein ThanD se laDta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.