tu muqim subh-e-azal se hai meri shah-rag ke qarin sahi
tū muqīm sub.h-e-azal se hai mirī shāh-rag ke qarīñ sahī
magar aa sakā na mujhe nazar mire dil meñ laakh makīñ sahī
ye shikast-e-sheva-e-nāz hai jo mizāj-e-husn badal sake
kabhī muñh se haañ na nikal sakī jo kahā nahīñ to nahīñ sahī
maiñ vo āb-o-gil kā huuñ sho.abada ki malak fareb meñ aa ga.e
mirī dastaras meñ hai arsh bhī maiñ hazār ḳhāk-nashīñ sahī
ye surūr-o-zauq kī manzileñ ye maqām-e-shauq kī rif.ateñ
mirī āh-e-sub.h kī den haiñ mujhe is kā bhī na yaqīñ sahī
tirā āstāñ to na mil sakā tire naqsh-e-pā hī agar mileñ
mujhe kaam sajda-e-shauq se mirā sajda nang-e-jabīñ sahī
vo niyāz-mand 'munīr' hai jise mā-sivā se ġharaz nahīñ
jo na dekhe aañkh uThā ke bhī koī rashk-e-māh-e-mubīñ sahī
tu muqim subh-e-azal se hai meri shah-rag ke qarin sahi
magar aa saka na mujhe nazar mere dil mein lakh makin sahi
ye shikast-e-shewa-e-naz hai jo mizaj-e-husn badal sake
kabhi munh se han na nikal saki jo kaha nahin to nahin sahi
main wo aab-o-gil ka hun shoabada ki malak fareb mein aa gae
meri dastaras mein hai arsh bhi main hazar KHak-nashin sahi
ye surur-o-zauq ki manzilen ye maqam-e-shauq ki rifaten
meri aah-e-subh ki den hain mujhe is ka bhi na yaqin sahi
tera aastan to na mil saka tere naqsh-e-pa hi agar milen
mujhe kaam sajda-e-shauq se mera sajda nang-e-jabin sahi
wo niyaz-mand 'munir' hai jise ma-siwa se gharaz nahin
jo na dekhe aankh uTha ke bhi koi rashk-e-mah-e-mubin sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.