tu mutmain hai to aaKHir ye haal kaisa hai
tū mutma.in hai to āḳhir ye haal kaisā hai
zabān chup hai nazar meñ savāl kaisā hai
tamām shahr meñ ḳhushiyāñ luTāne nikle the
tumhāre chehre pe rang-e-malāl kaisā hai
chalī ga.ī hai masarrat to muskurāhaT kyoñ
utar chukī hai nadī to ubaal kaisā hai
yahāñ sabhī ko sabhī se aqīdateñ haiñ bahut
qadam qadam pe ye sāzish kā jaal kaisā hai
kisī ne ḳhuun kī holī agar nahīñ khelī
to har taraf ye lahū kā gulāl kaisā hai
rafū-garī kiyā karte haiñ nok-e-ḳhanjar se
hamāre zaḳhm kā un ko ḳhayāl kaisā hai
qarīb rahtā hai kartā nahīñ hai ram lekin
pakaḌ meñ aatā nahīñ vo ġhazāl kaisā hai
'zafar' isī ko urūj-o-zavāl kahte haiñ
jo sar buland thā vo pā.emāl kaisā hai
tu mutmain hai to aaKHir ye haal kaisa hai
zaban chup hai nazar mein sawal kaisa hai
tamam shahr mein KHushiyan luTane nikle the
tumhaare chehre pe rang-e-malal kaisa hai
chali gai hai masarrat to muskurahaT kyon
utar chuki hai nadi to ubaal kaisa hai
yahan sabhi ko sabhi se aqidaten hain bahut
qadam qadam pe ye sazish ka jal kaisa hai
kisi ne KHun ki holi agar nahin kheli
to har taraf ye lahu ka gulal kaisa hai
rafu-gari kiya karte hain nok-e-KHanjar se
hamare zaKHm ka un ko KHayal kaisa hai
qarib rahta hai karta nahin hai ram lekin
pakaD mein aata nahin wo ghazal kaisa hai
'zafar' isi ko uruj-o-zawal kahte hain
jo sar buland tha wo paemal kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.