tu na paega kahin zauq-e-qaza mere baad
tū na pā.egā kahīñ zauq-e-qazā mere baad
jo dam-e-marg de qātil ko duā mere baa'd
log katrā ke mire ghar se guzar jaate the
aaj kyoñ shahr meñ mātam hai bapā mere baa'd
thā farishtoñ kā bhī ma.abūd vahī ek magar
apnī taḳhlīq pe nāzāñ hai ḳhudā mere baa'd
ham ne tanhā.ī se yaarī to nibhā dī lekin
yaar se yaar kabhī ho na judā mere baa'd
ahd-e-tiflī se buḌhāpe kā safar thā ki ghuTan
ḳhatm ho jaa.e ye zahrīlī fazā mere baa'd
tu na paega kahin zauq-e-qaza mere baad
jo dam-e-marg de qatil ko dua mere ba'd
log katra ke mere ghar se guzar jate the
aaj kyon shahr mein matam hai bapa mere ba'd
tha farishton ka bhi mabud wahi ek magar
apni taKHliq pe nazan hai KHuda mere ba'd
hum ne tanhai se yari to nibha di lekin
yar se yar kabhi ho na juda mere ba'd
ahd-e-tifli se buDhape ka safar tha ki ghuTan
KHatm ho jae ye zahrili faza mere ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.