tu nahaq hi use jhuTla raha hai
tū nāhaq hī use jhuTlā rahā hai
mohabbat par kabhī pardā rahā hai
abhī rishte meñ gunjā.ish hai baaqī
abhī vo ġhalatiyāñ ginvā rahā hai
jahāñ dekho koī sūraj kā TukḌā
kisī bādal se dhoke khā rahā hai
ye kholī hai kisī ne itr-dānī
yā tere giit koī gā rahā hai
na jaane kis hasīñ se choT khā kar
vo merā dil dukhā.e jā rahā hai
jo chāhe tū to ruk kuchh ḳhvāb bun leñ
tū jaldī jā agar tū jā rahā hai
use ab roknā mumkin nahīñ hai
vo apne Dar se aage jā rahā hai
tu nahaq hi use jhuTla raha hai
mohabbat par kabhi parda raha hai
abhi rishte mein gunjaish hai baqi
abhi wo ghalatiyan ginwa raha hai
jahan dekho koi suraj ka TukDa
kisi baadal se dhoke kha raha hai
ye kholi hai kisi ne itr-dani
ya tere git koi ga raha hai
na jaane kis hasin se choT kha kar
wo mera dil dukhae ja raha hai
jo chahe tu to ruk kuchh KHwab bun len
tu jaldi ja agar tu ja raha hai
use ab rokna mumkin nahin hai
wo apne Dar se aage ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.