tu nahin hai to meri sham akeli chup hai
tū nahīñ hai to mirī shaam akelī chup hai
yaad meñ dil kī ye vīrān havelī chup hai
har taraf thī baḌī mahkār mere āñgan meñ
apne phūloñ ke liye merī chamelī chup hai
bolte haath bhī ḳhāmosh hue baiThe haiñ
ik muqaddar kī tarah merī hathelī chup hai
bhed khultā hī nahīñ kaisī udāsī chhā.ī
buujh saktā nahīñ koī vo pahelī chup hai
itnā hañstī thī ki aañsū nikal aate the 'sabā'
ye na.ī baat bahāroñ kī sahelī chup hai
tu nahin hai to meri sham akeli chup hai
yaad mein dil ki ye viran haweli chup hai
har taraf thi baDi mahkar mere aangan mein
apne phulon ke liye meri chameli chup hai
bolte hath bhi KHamosh hue baiThe hain
ek muqaddar ki tarah meri hatheli chup hai
bhed khulta hi nahin kaisi udasi chhai
bujh sakta nahin koi wo paheli chup hai
itna hansti thi ki aansu nikal aate the 'saba'
ye nai baat bahaaron ki saheli chup hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.