tu nahin hai to tere hamnam se rishta rakkha
tu nahin hai to tere hamnam se rishta rakkha
Hashim Raza Jalalpuri
MORE BYHashim Raza Jalalpuri
tū nahīñ hai to tire hamnām se rishta rakkhā
ham ne yuuñ bhī dil-e-nākām ko zinda rakkhā
vo marī jaan kā dushman ki sar-e-nahr-e-visāl
sab ko sairāb kiyā bas mujhe pyāsā rakkhā
mere maulā tirī mantiq bhī ajab mantiq hai
hoñT pe pyaas rakhī aañkh meñ dariyā rakkhā
sab ke hāthoñ kī lakīroñ meñ muqaddar rakh ke
rakhne vaale ne mire haath pe sahrā rakkhā
sab ke sab luuT rahe the tirī daulat raanī
maiñ ne to sirf tire shahr kā naqsha rakkhā
jis bulandī pe 'razā' maiñ ne sajā.e tamġhe
us bulandī pe hī TuuTā huā kaasa rakkhā
tu nahin hai to tere hamnam se rishta rakkha
hum ne yun bhi dil-e-nakaam ko zinda rakkha
wo mari jaan ka dushman ki sar-e-nahr-e-visal
sab ko sairab kiya bas mujhe pyasa rakkha
mere maula teri mantiq bhi ajab mantiq hai
honT pe pyas rakhi aankh mein dariya rakkha
sab ke hathon ki lakiron mein muqaddar rakh ke
rakhne wale ne mere hath pe sahra rakkha
sab ke sab luT rahe the teri daulat rani
main ne to sirf tere shahr ka naqsha rakkha
jis bulandi pe 'raza' main ne sajae tamghe
us bulandi pe hi TuTa hua kasa rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.