tu nahin jab se ham-safar mera
tū nahīñ jab se ham-safar merā
rahguzar hai na hai shajar merā
kaun degā yahāñ mujhe dastār
har bashar chāhtā hai sar merā
tere jaane se kuchh nahīñ hotā
mujh pe hone lagā asar merā
har koī thā sarāb meñ khoyā
dekhtā kaun phir hunar merā
ajnabī shahr ajnabī galiyāñ
koī dīvār hai na dar merā
maiñ bhī 'jāzib' ajab musāfir huuñ
saath chaltā hai mere ghar merā
tu nahin jab se ham-safar mera
rahguzar hai na hai shajar mera
kaun dega yahan mujhe dastar
har bashar chahta hai sar mera
tere jaane se kuchh nahin hota
mujh pe hone laga asar mera
har koi tha sarab mein khoya
dekhta kaun phir hunar mera
ajnabi shahr ajnabi galiyan
koi diwar hai na dar mera
main bhi 'jazib' ajab musafir hun
sath chalta hai mere ghar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.