tu ne aisa bhi kya kiya mujh par
tū ne aisā bhī kyā kiyā mujh par
be-asar ho ga.ī davā mujh par
ronā lāzim nahīñ mire ham-dam
muskurā qahqaha lagā mujh par
ḳhaak meñ uḌ gayā mirā ḳhāka
is tarah āsmāñ girā mujh par
tum ghaḌī-bhar ko ruk nahīñ jaate
rahm karte nahīñ zarā mujh par
mujh ko jaḌ se ukhāḌne vaale
panchhī karte the aasrā mujh par
merī miTTī bhī 'faiz' sonā hai
mehrbāñ ho agar ḳhudā mujh par
tu ne aisa bhi kya kiya mujh par
be-asar ho gai dawa mujh par
rona lazim nahin mere ham-dam
muskura qahqaha laga mujh par
KHak mein uD gaya mera KHaka
is tarah aasman gira mujh par
tum ghaDi-bhar ko ruk nahin jate
rahm karte nahin zara mujh par
mujh ko jaD se ukhaDne wale
panchhi karte the aasra mujh par
meri miTTi bhi 'faiz' sona hai
mehrban ho agar KHuda mujh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.