tu ne jab bhi aankh milai
tū ne jab bhī aañkh milā.ī
dīda-o-dil par aafat aa.ī
ye sannāTā ye tanhā.ī
lekin terī yaad to aa.ī
dair-o-haram meñ jā baiThe haiñ
duniyā jin ko raas na aa.ī
TuuT ga.iiñ saarī zanjīreñ
zulf tire ruḳh par lahrā.ī
manzil duur thī lekin ham ne
ek qadam meñ Thokar khaa.ī
tujh ko mubārak phuul aur kaliyāñ
merā hissa ābla-pā.ī
chhānī ham ne nagrī nagrī
sahrā sahrā ḳhaak uḌaa.ī
kaun 'majīd' is bhed ko jaane
kyā shai khoī kyā shai paa.ī
tu ne jab bhi aankh milai
dida-o-dil par aafat aai
ye sannaTa ye tanhai
lekin teri yaad to aai
dair-o-haram mein ja baiThe hain
duniya jin ko ras na aai
TuT gain sari zanjiren
zulf tere ruKH par lahrai
manzil dur thi lekin hum ne
ek qadam mein Thokar khai
tujh ko mubarak phul aur kaliyan
mera hissa aabla-pai
chhani hum ne nagri nagri
sahra sahra KHak uDai
kaun 'majid' is bhed ko jaane
kya shai khoi kya shai pai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.