tu ne jo harakat dil-e-nadan ki
tū ne jo harakat dil-e-nādān kī
ham ne us par zindagī qurbān kī
dil pe kahtā hai tamannā chhoḌ de
āqilāna baat hai nādān kī
kaun sā ġham hai jo dil meñ ḳhush nahīñ
kī tavāzo.a us ne har mehmān kī
ḳhud-ba-ḳhud ābād ho jā.egā ban
aap ne bastī agar vīrān kī
koī sāhil jazb kar saktā nahīñ
zindagī ik lahr hai tūfān kī
muskurā kar baat kī sad shukriya
zindagī dushvār thī āsān kī
tu ne jo harakat dil-e-nadan ki
hum ne us par zindagi qurban ki
dil pe kahta hai tamanna chhoD de
aaqilana baat hai nadan ki
kaun sa gham hai jo dil mein KHush nahin
ki tawazoa us ne har mehman ki
KHud-ba-KHud aabaad ho jaega ban
aap ne basti agar viran ki
koi sahil jazb kar sakta nahin
zindagi ek lahr hai tufan ki
muskura kar baat ki sad shukriya
zindagi dushwar thi aasan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.