tu ne jo kuchh ki kiya mere dil-e-zar ke sath
tu ne jo kuchh ki kiya mere dil-e-zar ke sath
Meer Mohammadi Bedar
MORE BYMeer Mohammadi Bedar
tū ne jo kuchh ki kiyā mere dil-e-zār ke saath
aag ne bhī na kiyā vo to ḳhas-o-ḳhār ke saath
aañkh uThā kar bhī na dekhā kabhī tū ne zālim
sar paTak mar ga.e lākhoñ tirī dīvār ke saath
ye ka.ī taar haiñ vo rishta-e-jāñ hai yaksar
ġhalat us zulf kī tashbīh hai zunnār ke saath
raat din rahtī hai juuñ dīda-e-tasvīr khulī
aañkh jab se lagī us ā.ina-ruḳhsār ke saath
dekhiyo gir na paḌe diijo use ai qāsid
dil-e-betāb lipaTtā hai maiñ tūmār ke saath
kyā ajab ye hai ki vo mujh se milā rahtā hai
gul ko paivastagī lāzim hai ki ho ḳhaar ke saath
hai sazā-vār agar aise ko diije dil-o-dīñ
ham bhī dekhā use kal duur se 'bedār' ke saath
tu ne jo kuchh ki kiya mere dil-e-zar ke sath
aag ne bhi na kiya wo to KHas-o-KHar ke sath
aankh uTha kar bhi na dekha kabhi tu ne zalim
sar paTak mar gae lakhon teri diwar ke sath
ye kai tar hain wo rishta-e-jaan hai yaksar
ghalat us zulf ki tashbih hai zunnar ke sath
raat din rahti hai jun dida-e-taswir khuli
aankh jab se lagi us aaina-ruKHsar ke sath
dekhiyo gir na paDe dijo use ai qasid
dil-e-betab lipaTta hai main tumar ke sath
kya ajab ye hai ki wo mujh se mila rahta hai
gul ko paiwastagi lazim hai ki ho KHar ke sath
hai saza-war agar aise ko dije dil-o-din
hum bhi dekha use kal dur se 'bedar' ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.