tu ne jo mujhse fasle rakkhe
tū ne jo mujh se fāsle rakkhe
achchhā hai duur rāste rakkhe
maiñ na jānūñ tū kaun hai merā
dil ne kyuuñ tujh se rābte rakkhe
saath merā nibhā.e vo kaise
jo nibhāne meñ dā.ere rakkhe
the ma.ānī ġhazal meñ tujh se hī
jaane kyuuñ maiñ ne falsafe rakkhe
hādsoñ meñ bhī hādse rakkhe
kaise qismat ne silsile rakkhe
pūchhtī hai kitābeñ bhī mujh se
phuul ye kis ke vāste rakkhe
jab thā tanhā safar hī hisse meñ
kyuuñ ye yādoñ ke marhale rakkhe
tu ne jo mujh se fasle rakkhe
achchha hai dur raste rakkhe
main na jaanun tu kaun hai mera
dil ne kyun tujh se rabte rakkhe
sath mera nibhae wo kaise
jo nibhane mein daere rakkhe
the maani ghazal mein tujh se hi
jaane kyun main ne falsafe rakkhe
hadson mein bhi hadse rakkhe
kaise qismat ne silsile rakkhe
puchhti hai kitaben bhi mujh se
phul ye kis ke waste rakkhe
jab tha tanha safar hi hisse mein
kyun ye yaadon ke marhale rakkhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.