tu ne kabhi bhi aansu baha kar nahin dekha
tū ne kabhī bhī aañsū bahā kar nahīñ dekhā
namnāk nigāhoñ se manā kar nahīñ dekhā
ġhairoñ ne kabhī haath milā kar nahīñ dekhā
apnoñ ne bhī siine se lagā kar nahīñ dekhā
nazroñ meñ ḳhayāloñ meñ samāyā thā bahut vo
har chand use dil se lagā kar nahīñ dekhā
maiñ jāntā thā rahtī na hastī-e-samundar
maiñ ne do kināroñ ko milā kar nahīñ dekhā
bichhḌā bhī to is naaz se andāz se bichhḌā
phir us ne kabhī lauT ke aa kar nahīñ dekhā
us ne bhī kabhī pursish-e-ġham kī nahīñ 'faisal'
maiñ ne bhī kabhī dard sunā kar nahīñ dekhā
tu ne kabhi bhi aansu baha kar nahin dekha
namnak nigahon se mana kar nahin dekha
ghairon ne kabhi hath mila kar nahin dekha
apnon ne bhi sine se laga kar nahin dekha
nazron mein KHayalon mein samaya tha bahut wo
har chand use dil se laga kar nahin dekha
main jaanta tha rahti na hasti-e-samundar
main ne do kinaron ko mila kar nahin dekha
bichhDa bhi to is naz se andaz se bichhDa
phir us ne kabhi lauT ke aa kar nahin dekha
us ne bhi kabhi pursish-e-gham ki nahin 'faisal'
main ne bhi kabhi dard suna kar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.