tu ne koi baat meri aaj tak mani nahin
tū ne koī baat merī aaj tak maanī nahīñ
terī jānib se mujhe koī pareshānī nahīñ
dil meñ dāḳhil hai hujūm-e-ḳhadd-o-ḳhāl-e-do-jahāñ
is liye koī bhī sūrat ham se anjānī nahīñ
arsh kā kuchh rābta to farsh vāloñ se bhī hai
ishq lā-fānī hai āshiq bhī magar faanī nahīñ
DhūñDne se mil to jaatī hai ye gum-gashta kitāb
varna duniyā meñ mohabbat kī farāvānī nahīñ
'āftāb-ahmad' tire andar ḳharābī hai zarūr
guftugū mohtāt sī hai chaal mastānī nahīñ
tu ne koi baat meri aaj tak mani nahin
teri jaanib se mujhe koi pareshani nahin
dil mein daKHil hai hujum-e-KHadd-o-KHal-e-do-jahan
is liye koi bhi surat hum se anjaani nahin
arsh ka kuchh rabta to farsh walon se bhi hai
ishq la-fani hai aashiq bhi magar fani nahin
DhunDne se mil to jati hai ye gum-gashta kitab
warna duniya mein mohabbat ki farawani nahin
'aftab-ahmad' tere andar KHarabi hai zarur
guftugu mohtat si hai chaal mastani nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.