tu ne koshish to ki zamane par
tū ne koshish to kī zamāne par
lau bujhī hī nahīñ bujhāne par
mere hāthoñ kā dekhne jaadū
ghar pe aao kabhī to khāne par
laash ḳhvāboñ kī dafn kar aa.e
dard ab jā lagā Thikāne par
koī sīkhe nahīñ sikhāne se
aql aatī hai choT khāne par
naam us ke kiye haiñ din bhī to
kyoñ tamāsha hai shab bitāne par
tu ne koshish to ki zamane par
lau bujhi hi nahin bujhane par
mere hathon ka dekhne jadu
ghar pe aao kabhi to khane par
lash KHwabon ki dafn kar aae
dard ab ja laga Thikane par
koi sikhe nahin sikhane se
aql aati hai choT khane par
nam us ke kiye hain din bhi to
kyon tamasha hai shab bitane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.