tu ne kuchh bhi na kaha ho jaise
tu ne kuchh bhi na kaha ho jaise
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
tū ne kuchh bhī na kahā ho jaise
mere hī dil kī sadā ho jaise
yuuñ tirī yaad se jī ghabrāyā
tū mujhe bhuul gayā ho jaise
is tarah tujh se kiye haiñ shikve
mujh ko apne se gilā ho jaise
yuuñ har ik naqsh pe jhuktī hai jabīñ
terā naqsh-e-kaf-e-pā ho jaise
tere hoñToñ kī ḳhafī sī larzish
ik hasīñ sher huā ho jaise
tu ne kuchh bhi na kaha ho jaise
mere hi dil ki sada ho jaise
yun teri yaad se ji ghabraya
tu mujhe bhul gaya ho jaise
is tarah tujh se kiye hain shikwe
mujh ko apne se gila ho jaise
yun har ek naqsh pe jhukti hai jabin
tera naqsh-e-kaf-e-pa ho jaise
tere honTon ki KHafi si larzish
ek hasin sher hua ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.