tu ne kya kya na ai zindagi dasht o dar mein phiraya mujhe
tu ne kya kya na ai zindagi dasht o dar mein phiraya mujhe
Shakeb Jalali
MORE BYShakeb Jalali
tū ne kyā kyā na ai zindagī dasht o dar meñ phirāyā mujhe
ab to apne dar-o-bām bhī jānte haiñ parāyā mujhe
aur bhī kuchh bhaḌakne lagā mere siine kā ātish-kada
raas tujh bin na aayā kabhī sabz peḌoñ kā saayā mujhe
in na.ī koñpaloñ se mirā kyā koī bhī ta.alluq na thā
shāḳh se toḌ kar ai sabā ḳhaak meñ kyuuñ milāyā mujhe
dard kā diip jaltā rahā dil kā sonā pighaltā rahā
ek Duube hue chāñd ne raat bhar ḳhuuñ rulāyā mujhe
ab mire rāste meñ kahīñ ḳhauf-e-sahrā bhī haa.il nahīñ
ḳhushk patte ne āvārgī kā qarīna sikhāyā mujhe
muddatoñ rū-e-gul kī jhalak ko tarastā rahā maiñ 'shakeb'
ab jo aa.ī bahār us ne sehn-e-chaman meñ na paayā mujhe
tu ne kya kya na ai zindagi dasht o dar mein phiraya mujhe
ab to apne dar-o-baam bhi jaante hain paraya mujhe
aur bhi kuchh bhaDakne laga mere sine ka aatish-kada
ras tujh bin na aaya kabhi sabz peDon ka saya mujhe
in nai konpalon se mera kya koi bhi talluq na tha
shaKH se toD kar ai saba KHak mein kyun milaya mujhe
dard ka dip jalta raha dil ka sona pighalta raha
ek Dube hue chand ne raat bhar KHun rulaya mujhe
ab mere raste mein kahin KHauf-e-sahra bhi hail nahin
KHushk patte ne aawargi ka qarina sikhaya mujhe
muddaton ru-e-gul ki jhalak ko tarasta raha main 'shakeb'
ab jo aai bahaar us ne sehn-e-chaman mein na paya mujhe
- Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 157)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.