tu ne kyon meri mohabbat ka bharam toD diya
tū ne kyoñ merī mohabbat kā bharam toḌ diyā
hijr qismat meñ likhā aur qalam toḌ diyā
apne hāthoñ se banāyā thā jise apnā ḳhudā
dil-e-kā'ba kā vahī ham ne sanam toḌ diyā
hijr ulfat kā vo sahrā hai jahāñ majnūñ ne
dhuup meñ ġham kī jhulaste hue dam toḌ diyā
zinda rahne kī mire dil meñ nahīñ ab ḳhvāhish
is qadar tū ne mujhe ai mire ġham toḌ diyā
vaqt ik aisā sikandar hai jahāñ meñ jis ne
achchhe-achchhoñ kā yahāñ 'sād' hasham toḌ diyā
tu ne kyon meri mohabbat ka bharam toD diya
hijr qismat mein likha aur qalam toD diya
apne hathon se banaya tha jise apna KHuda
dil-e-ka'ba ka wahi hum ne sanam toD diya
hijr ulfat ka wo sahra hai jahan majnun ne
dhup mein gham ki jhulaste hue dam toD diya
zinda rahne ki mere dil mein nahin ab KHwahish
is qadar tu ne mujhe ai mere gham toD diya
waqt ek aisa sikandar hai jahan mein jis ne
achchhe-achchhon ka yahan 'sad' hasham toD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.