tu ne nazar se pyas ki dekha bhi hai kahin
tū ne nazar se pyaas kī dekhā bhī hai kahīñ
gard-e-jabīn-e-dasht meñ dariyā bhī hai kahīñ
phirtā rahā huuñ jis ke ta.āqub meñ umr-bhar
kyā naqsh us ḳhayāl ne chhoḌā bhī hai kahīñ
yā sab hī merī tarah ke āvāra-gard the
dil meñ koī qarār se baiThā bhī hai kahīñ
ham bhī ajab the ġhāroñ meñ utre ye dekhne
bach kar nikalne kā koī rasta bhī hai kahīñ
kuchh dekhte ki ḳhaak meñ haiñ dafn ḳhvāb kyā
ye gard-bād lamhe ko Thahrā bhī hai kahīñ
phūloñ kī samt haath baḌhāo ye soch kar
af.ī siyāh shāḳh se lipTā bhī hai kahīñ
saarī sadā.eñ ġhaib se aatī nahīñ 'shafaq'
koī zarūr dasht meñ baiThā bhī hai kahīñ
tu ne nazar se pyas ki dekha bhi hai kahin
gard-e-jabin-e-dasht mein dariya bhi hai kahin
phirta raha hun jis ke taaqub mein umr-bhar
kya naqsh us KHayal ne chhoDa bhi hai kahin
ya sab hi meri tarah ke aawara-gard the
dil mein koi qarar se baiTha bhi hai kahin
hum bhi ajab the ghaaron mein utre ye dekhne
bach kar nikalne ka koi rasta bhi hai kahin
kuchh dekhte ki KHak mein hain dafn KHwab kya
ye gard-baad lamhe ko Thahra bhi hai kahin
phulon ki samt hath baDhao ye soch kar
afi siyah shaKH se lipTa bhi hai kahin
sari sadaen ghaib se aati nahin 'shafaq'
koi zarur dasht mein baiTha bhi hai kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.