tu ne nazron ko bacha kar is tarah dekha mujhe
tū ne nazroñ ko bachā kar is tarah dekhā mujhe
kyuuñ na kar jaatā bharī mahfil meñ dil tanhā mujhe
shāḳh-dar-shāḳh ab koī DhūñDā kare patta mujhe
maiñ to ḳhud TuuTā huuñ āñdhī ne nahīñ toḌā mujhe
laġhzish-e-pā ne diyā har raah meñ dhokā mujhe
tā-dar-e-manzil tū hī ai jazb-e-dil pahuñchā mujhe
sūrat-e-ā.īna hairat se vo taktā rah gayā
ā.ina-ḳhāne meñ jis ne ġhaur se dekhā mujhe
maar hī Dālegī ik din kārobār-e-zīst meñ
tañg-dāmānī tirī ai vus.at-e-duniyā mujhe
umr-bhar miltī rahī terī adālat se na pūchh
merī nā-karda-gunāhī kī sazā kyā kyā mujhe
barg-e-gul par raqs-e-shabnam kā ye manzar ai 'ziyā'
ab to aatā hai nazar har qatre meñ dariyā mujhe
tu ne nazron ko bacha kar is tarah dekha mujhe
kyun na kar jata bhari mahfil mein dil tanha mujhe
shaKH-dar-shaKH ab koi DhunDa kare patta mujhe
main to KHud TuTa hun aandhi ne nahin toDa mujhe
laghzish-e-pa ne diya har rah mein dhoka mujhe
ta-dar-e-manzil tu hi ai jazb-e-dil pahuncha mujhe
surat-e-aina hairat se wo takta rah gaya
aaina-KHane mein jis ne ghaur se dekha mujhe
mar hi Dalegi ek din karobar-e-zist mein
tang-damani teri ai wusat-e-duniya mujhe
umr-bhar milti rahi teri adalat se na puchh
meri na-karda-gunahi ki saza kya kya mujhe
barg-e-gul par raqs-e-shabnam ka ye manzar ai 'ziya'
ab to aata hai nazar har qatre mein dariya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.