tu ne phir kya samajh liya mujhko
tū ne phir kyā samajh liyā mujh ko
jaise duniyā samajh liyā mujh ko
maiñ ne tujh phuul kī hifāzat kī
tū ne kāñTā samajh liyā mujh ko
jaise maiñ tujh ko chhoḌ jā.ūñgā
tū ne aisā samajh liyā mujh ko
jaan tujh par maiñ jaan chhiḌkūñgā
aisā vaisā samajh liyā mujh ko
aur baaqī nahīñ samajhne ko
tū ne saarā samajh liyā mujh ko
tu ne phir kya samajh liya mujh ko
jaise duniya samajh liya mujh ko
main ne tujh phul ki hifazat ki
tu ne kanTa samajh liya mujh ko
jaise main tujh ko chhoD jaunga
tu ne aisa samajh liya mujh ko
jaan tujh par main jaan chhiDkunga
aisa waisa samajh liya mujh ko
aur baqi nahin samajhne ko
tu ne sara samajh liya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.