Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu ne sine ko jab tak KHalish di na thi tu ne jazbon ko jab tak ubhaara na tha

Jameel Mazhari

tu ne sine ko jab tak KHalish di na thi tu ne jazbon ko jab tak ubhaara na tha

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    ne siine ko jab tak ḳhalish na thī ne jazboñ ko jab tak ubhārā na thā

    maiñ vo dariyā thā jis meñ ki lahreñ na thiiñ maiñ vo qulzum thā jis meñ ki dhārā na thā

    tere aage na yārān-e-ḳhud-sar jhuke terī chaukhaT se bhāge to dar dar jhuke

    us jagah dil jhuke us jagah sar jhuke bandagī ke sivā koī chārā na thā

    ashk motī na the bah ga.e bah ga.e hañste hañste ye tum aaj kyā kah ga.e

    yaad kar ke vo din ham bhī chup rah ga.e jab in āñkhoñ meñ aañsū gavārā na thā

    saaz fariyād ke dil ne chheḌe na the hijr aur vasl ke ye bakheḌe na the

    ham ne dāman ke baḳhiye udheḌe na the tum ne zulfoñ ko apnī sañvārā na thā

    tujh meñ dariyā koī kis sahāre chale maiñ jo pachchhim to pūrab ko dhāre chale

    merī kashtī kināre kināre chale terī maujoñ ko ye bhī gavārā na thā

    dekh parvānoñ ke raqs-e-betāb ko sham.a aane na de aañkh meñ ḳhvāb ko

    ek jhapkī aa.ī thī mahtāb ko aañkh kholī to koī sitārā na thā

    ek tannūr se sho.ale uTThā kiye aag jaltī rahī log taapā kiye

    duur baiThe vo pahlū bachāyā kiye jin qismat meñ koī sharārā na thā

    donoñ afsāna-ḳhvāñ gird mahmil ke the qais sahrā thā ḳhizr manzil ke the

    'maz.harī' bhī ġhulām apne dil ke the in divānoñ meñ koī tumhārā na thā

    tu ne sine ko jab tak KHalish di na thi tu ne jazbon ko jab tak ubhaara na tha

    main wo dariya tha jis mein ki lahren na thin main wo qulzum tha jis mein ki dhaara na tha

    tere aage na yaran-e-KHud-sar jhuke teri chaukhaT se bhage to dar dar jhuke

    us jagah dil jhuke us jagah sar jhuke bandagi ke siwa koi chaara na tha

    ashk moti na the bah gae bah gae hanste hanste ye tum aaj kya kah gae

    yaad kar ke wo din hum bhi chup rah gae jab in aankhon mein aansu gawara na tha

    saz fariyaad ke dil ne chheDe na the hijr aur wasl ke ye bakheDe na the

    hum ne daman ke baKHiye udheDe na the tum ne zulfon ko apni sanwara na tha

    tujh mein dariya koi kis sahaare chale main jo pachchhim to purab ko dhaare chale

    meri kashti kinare kinare chale teri maujon ko ye bhi gawara na tha

    dekh parwanon ke raqs-e-betab ko shama aane na de aankh mein KHwab ko

    ek jhapki si aai thi mahtab ko aankh kholi to koi sitara na tha

    ek tannur se shoale uTTha kiye aag jalti rahi log tapa kiye

    dur baiThe wo pahlu bachaya kiye jin ki qismat mein koi sharara na tha

    donon afsana-KHwan gird mahmil ke the qais sahra ka tha KHizr manzil ke the

    'mazhari' bhi ghulam apne hi dil ke the in diwanon mein koi tumhaara na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now