tu paedar aalam-e-na-paedar mein
tū pā.edār ālam-e-nā-pā.edār meñ
baaqī fanā nasīb haiñ is ḳhāk-zār meñ
kaise kahūñ kyā haal huā ḳhār-zār meñ
dil kī patang jab se ga.ī dast-e-yār meñ
apnā samajh ke liije mujhe e.atibār meñ
lag jaa.eñ chaar chāñd tumhāre vaqār meñ
duniyā baḌī hasīn hai māshūq kī tarah
degī fareb le ke tumheñ e.atibār meñ
tamhīd bāñdhne kā zamāna guzar gayā
matlab kī kahiye vo bhī magar iḳhtisār meñ
muḳhlis zamāne bhar kī havas ho to kis liye
jab ki mamāt-o-zīst nahīñ iḳhtiyār meñ
tu paedar aalam-e-na-paedar mein
baqi fana nasib hain is KHak-zar mein
kaise kahun kya haal hua KHar-zar mein
dil ki patang jab se gai dast-e-yar mein
apna samajh ke lije mujhe eatibar mein
lag jaen chaar chand tumhaare waqar mein
duniya baDi hasin hai mashuq ki tarah
degi fareb le ke tumhein eatibar mein
tamhid bandhne ka zamana guzar gaya
matlab ki kahiye wo bhi magar iKHtisar mein
muKHlis zamane bhar ki hawas ho to kis liye
jab ki mamat-o-zist nahin iKHtiyar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.