tu raaz samjha nahin dard ki paheli ka
tū raaz samjhā nahīñ dard kī pahelī kā
vo dāstāñ thī mirī naam thā sahelī kā
dukhī huī mirī āñkheñ thī tere ashkoñ se
ki rañg halkā paḌā thā kisī chamelī kā
hañsī mazāq meñ mash.hūr thā ye shahr magar
kisī ne dukh nahīñ bāñTā thā us akelī kā
na jaane kaisī mohabbat meñ qaid ho ga.ī huuñ
maiñ roz dekhtī huuñ dā.era hathelī kā
vo dil kī sej pe ai 'hādia' biThā.egā
sajā hai ḳhvāb meñ kamra koī havelī kā
tu raaz samjha nahin dard ki paheli ka
wo dastan thi meri nam tha saheli ka
dukhi hui meri aankhen thi tere ashkon se
ki rang halka paDa tha kisi chameli ka
hansi mazaq mein mashhur tha ye shahr magar
kisi ne dukh nahin banTa tha us akeli ka
na jaane kaisi mohabbat mein qaid ho gai hun
main roz dekhti hun daera hatheli ka
wo dil ki sej pe ai 'hadia' biThaega
saja hai KHwab mein kamra koi haweli ka
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.