tu rang hai ghubar hain teri gali ke log
tū rañg hai ġhubār haiñ terī galī ke log
to phuul hai sharār haiñ terī galī ke log
to raunaq-e-hayāt hai to husn-e-kā.enāt
ujḌā huā dayār haiñ terī galī ke log
tū paikar-e-vafā hai mujassam ḳhulūs hai
badnām-e-rozgār haiñ terī galī ke log
raushan tire jamāl se haiñ mehr-o-māh bhī
lekin nazar pe baar haiñ terī galī ke log
dekho jo ġhaur se to zamīñ se bhī past haiñ
yuuñ āsmāñ-shikār haiñ terī galī ke log
phir jā rahā huuñ tere tabassum ko luuT kar
har-chand hoshiyār haiñ terī galī ke log
kho jā.eñge sahar ke ujāloñ meñ āḳhirash
sham.a sar-e-mazār haiñ terī galī ke log
tu rang hai ghubar hain teri gali ke log
to phul hai sharar hain teri gali ke log
to raunaq-e-hayat hai to husn-e-kaenat
ujDa hua dayar hain teri gali ke log
tu paikar-e-wafa hai mujassam KHulus hai
badnam-e-rozgar hain teri gali ke log
raushan tere jamal se hain mehr-o-mah bhi
lekin nazar pe bar hain teri gali ke log
dekho jo ghaur se to zamin se bhi past hain
yun aasman-shikar hain teri gali ke log
phir ja raha hun tere tabassum ko luT kar
har-chand hoshiyar hain teri gali ke log
kho jaenge sahar ke ujalon mein aaKHirash
shama sar-e-mazar hain teri gali ke log
- Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 54)
- Author : Habib Jalib
- Publication : Tahir Sons Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.