tu samne hai par teri ab bhi kami hai dost
tū sāmne hai par tirī ab bhī kamī hai dost
dariyā ke paas hote hue tishnagī hai dost
duniyā se jā rahā huuñ kisī kī talab liye
vaise ye zindagī baḌī achchhī kaTī hai dost
ye falsafe lapeT ke tum jeb meñ rakho
maiñ ḳhuub jāntā huuñ mohabbat burī hai dost
ab to batā ki kyā hai ye tere ḳhayāl meñ
jitnā maiñ jāntā huuñ mohabbat yahī hai dost
aisā nahīñ ki aañkh meñ aañsū bache faqat
in āñsuoñ ke saath meñ ik ḳhvāb bhī hai dost
sach-much to koī toḌ ke laatā nahīñ hai chāñd
ye shā.irī hai aur faqat shā.irī hai dost
paane kī zid na koī bichhaḌne kā ḳhauf hai
achchhā hai tujh se ishq nahīñ dostī hai dost
tu samne hai par teri ab bhi kami hai dost
dariya ke pas hote hue tishnagi hai dost
duniya se ja raha hun kisi ki talab liye
waise ye zindagi baDi achchhi kaTi hai dost
ye falsafe lapeT ke tum jeb mein rakho
main KHub jaanta hun mohabbat buri hai dost
ab to bata ki kya hai ye tere KHayal mein
jitna main jaanta hun mohabbat yahi hai dost
aisa nahin ki aankh mein aansu bache faqat
in aansuon ke sath mein ek KHwab bhi hai dost
sach-much to koi toD ke lata nahin hai chand
ye shairi hai aur faqat shairi hai dost
pane ki zid na koi bichhaDne ka KHauf hai
achchha hai tujh se ishq nahin dosti hai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.