tu sath ho to lagta hai mahshar hai sath sath
tū saath ho to lagtā hai mahshar hai saath saath
terā vajūd jaise samundar hai saath saath
taqsīm kījiye na mazāhib meñ fard ko
masjid ke saath dekhiye mandar hai saath saath
markaz to pahle roz se hī mere saath thā
is ishq ke vajūd kā mehvar hai saath saath
tanhā.ī meñ bhī sach kahūñ tanhā nahīñ rahā
is shā.irī ke sadqe meñ shā.ir hai saath saath
merā yaqīn qad se mire hai buland-tar
gahre samundaroñ meñ muqaddar hai saath saath
hadd-e-nigāh tak mirī qabroñ kā shahr hai
har ik qadam pe mere mujāvar hai saath saath
ye silsila hai saare kā saarā yazīd kā
nasl-e-yazīd aaj bhī 'safdar' hai saath saath
tu sath ho to lagta hai mahshar hai sath sath
tera wajud jaise samundar hai sath sath
taqsim kijiye na mazahib mein fard ko
masjid ke sath dekhiye mandar hai sath sath
markaz to pahle roz se hi mere sath tha
is ishq ke wajud ka mehwar hai sath sath
tanhai mein bhi sach kahun tanha nahin raha
is shairi ke sadqe mein shair hai sath sath
mera yaqin qad se mere hai buland-tar
gahre samundaron mein muqaddar hai sath sath
hadd-e-nigah tak meri qabron ka shahr hai
har ek qadam pe mere mujawar hai sath sath
ye silsila hai sare ka sara yazid ka
nasl-e-yazid aaj bhi 'safdar' hai sath sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.