tu sab kuchh jaanne wala akela
tū sab kuchh jānñe vaalā akelā
batā phir kyoñ huuñ maiñ itnā akelā
terī chāhat meñ tere ġham bhī chāhe
kabhī tujh ko nahīñ chāhā akelā
maiñ mahfil meñ hañsāne vaalā sab ko
pas-e-parda bahut royā akelā
badan huuñ maiñ agar to vo bhī hogā
kabhī hotā nahīñ saayā akelā
haTā dī yaar kī tasvīr maiñ ne
taḌap kar ro paḌā kamrā akelā
vo apne saath mujh ko le gayā hai
maiñ jis ko chhoḌ kar lauTā akelā
tamāsha ban ga.ī hai saarī duniyā
bachā maiñ dekhne vaalā akelā
tu sab kuchh jaanne wala akela
bata phir kyon hun main itna akela
teri chahat mein tere gham bhi chahe
kabhi tujh ko nahin chaha akela
main mahfil mein hansane wala sab ko
pas-e-parda bahut roya akela
badan hun main agar to wo bhi hoga
kabhi hota nahin saya akela
haTa di yar ki taswir main ne
taDap kar ro paDa kamra akela
wo apne sath mujh ko le gaya hai
main jis ko chhoD kar lauTa akela
tamasha ban gai hai sari duniya
bacha main dekhne wala akela
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.