tu sarhad-e-KHayal se aage guzar gaya
tū sarhad-e-ḳhayāl se aage guzar gayā
maiñ terī justujū meñ ba-hadd-e-nazar gayā
dil ko kuredne se mirī jaan fā.eda
ik zaḳhm thā ki vaqt kī āñdhī se bhar gayā
sāhil tamām umr yūñhī tishna-lab rahā
sailāb kitnī baar yahāñ se guzar gayā
umr-e-gurez-pā ko kahāñ DhūñDne chaleñ
vo naqsh lauh-e-vaqt se kab kā utar gayā
tu sarhad-e-KHayal se aage guzar gaya
main teri justuju mein ba-hadd-e-nazar gaya
dil ko kuredne se meri jaan faeda
ek zaKHm tha ki waqt ki aandhi se bhar gaya
sahil tamam umr yunhi tishna-lab raha
sailab kitni bar yahan se guzar gaya
umr-e-gurez-pa ko kahan DhunDne chalen
wo naqsh lauh-e-waqt se kab ka utar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.