tu sitaron ke jhurmuT se aai hui mujhse mahw-e-suKHan is ada se hui

tu sitaron ke jhurmuT se aai hui mujhse mahw-e-suKHan is ada se hui
Yawar Azeem
MORE BYYawar Azeem
tū sitāroñ ke jhurmuT se aa.ī huī mujh se mahv-e-suḳhan is adā se huī
jaise husn-o-mohabbat kī devī koī āshnā 'ishq ke devtā se huī
dil kī indar-sabhā meñ baḌī der tak us hasīñ shaam kā raqs jaarī rahā
vo jo raavī kināre mulāqāt thī ek panjāb kī apsarā se huī
tere jalvoñ se baḌh kar koī aasrā dil ne māñgā nahīñ dil ne chāhā nahīñ
ham ne duniyā kī jānib na dekhā kabhī rū-ba-rū vo hamārī balā se huī
aao ham ek duuje se aise mileñ jis tarah rāj-hansoñ kā joḌā koī
ham pe sāya-fagan rahmatoñ kī ghaTā aaj phir pāniyoñ kī du'ā se huī
tū hai vā'da-shikan tū jafā-āshnā tū sitamgar bhī hai aur qātil bhī hai
mujh pe guzrī hai jo kuchh batā dūñgā maiñ jab mulāqāt merī ḳhudā se huī
paañv jab chūmne ke liye maiñ jhukā us ne mujh ko uThā kar jabīñ chuum lī
apnī qismat pe rashk aa rahā hai mujhe ibtidā hī mirī intihā se huī
apnī ḳhātir jo pāmāl dekhā mujhe us kī āñkhoñ se aañsū chhalakne lage
aisā lagtā hai vāqif vo pahlī daf'a merī chāhat kī is intihā se huī
tu sitaron ke jhurmuT se aai hui mujh se mahw-e-suKHan is ada se hui
jaise husn-o-mohabbat ki dewi koi aashna 'ishq ke dewta se hui
dil ki indar-sabha mein baDi der tak us hasin sham ka raqs jari raha
wo jo rawi kinare mulaqat thi ek panjab ki apsara se hui
tere jalwon se baDh kar koi aasra dil ne manga nahin dil ne chaha nahin
hum ne duniya ki jaanib na dekha kabhi ru-ba-ru wo hamari bala se hui
aao hum ek duje se aise milen jis tarah raj-hanson ka joDa koi
hum pe saya-fagan rahmaton ki ghaTa aaj phir paniyon ki du'a se hui
tu hai wa'da-shikan tu jafa-ashna tu sitamgar bhi hai aur qatil bhi hai
mujh pe guzri hai jo kuchh bata dunga main jab mulaqat meri KHuda se hui
panw jab chumne ke liye main jhuka us ne mujh ko uTha kar jabin chum li
apni qismat pe rashk aa raha hai mujhe ibtida hi meri intiha se hui
apni KHatir jo pamal dekha mujhe us ki aankhon se aansu chhalakne lage
aisa lagta hai waqif wo pahli daf'a meri chahat ki is intiha se hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.